Thursday, 10 April 2014

ROZ KI PHERI

the endless cycle of the day with all its inbuilt imperatives.....

ROZ KI PHERI
anmana sa chand aaj ufak se nikalta nazar aaya,
Dhajja dhajja, geela maila sa mayoos,
Chipa rehna chahta jo jaise,
aur kisi ne jabaran bheja ho ,
roz ki pheri par,
Badan par kharonchon ke nishan ,
aur chere ki rangat zard,
Chehra chipana chahta hoga,
Aaj woh aur main hamnafas hum khayal hain,
Kuch din yoon Bhi guzare hain kabhi
Ki koi na dekhe, jee karta tha...

koi mukhatib na ho,koi sawaal na kare, koi jawab lazim na ho...
lekin,zamane ke masael roz peecha karte hain,
is phalak se us ufak tak

Roz ki pheri to lazim hee hai...
~Vinny


No comments:

Post a Comment