Wednesday 16 April 2014

Aur kuch nahin hua...


this poem is one of my personal favourites..
the first line belongs to the immortal Gulzar, the verses are all mine.
the last verse was written first, in march 2011, and the others in 2013.

Aur kuch nahin hua...

Tum Gaye ho to aur kuch nahin hua,
Bas woh dariya jo mauj se behta tha kal kal karta, tham Gaya hai,
Sab batein chup ho Gayeen hai uski,
Mausamon se rooth Gaya ho jaise ,
Tum Gaye ho to aur kuch nahin hua...

Tum Gaye ho to aur kuch nahin hua...
Bas aangan main khada surk gulmohar sookhne laga hai,
Rista rehta hai paani peeli padi pattiyon se,
Shakhen jhuk Gayeen hain,Jaden sookh jayenge jald hee,
Tum Gaye ho to aur kuch nahin hua...

Tum Gaye ho to Aur kuch nahin hua
Bas do hisson main taqseem ho gayi hoon main,
Ek woh bavri jo vahin hogi kaheen,
Aur ek ye namurad jo khilkhilati hai bewajah ...
tum gaye ho to aur kuch nahin hua…

Tum gaye ho toh aur kuch nahin hua,
khud par se yakeen ghat gaya hai mera,
woh sakri si lakir,jis par paanv rakh kar jeete thee,
mit gayee hai,
tum gaye ho toh aur kuch nahin hua…
~vinny jain


No comments:

Post a Comment