Saturday 8 November 2014

अलफ़ाज़ ALFAAZ




अलफ़ाज़ 
उन अल्फ़ाज़ों के भी क्या माइने 
जिन का एहसासों से राब्ता न हो 
लब्ज़ सूख गए हों ज़बान पर 
लबों के सख्त सुर्ख आगोश में क़ैद 
बिखर भी जाएँ अगर बेतरतीब तो क्या 
कोई माइने नहीं उगते उनपर 
अगर तुम करीने से पीरो न दो… 
कभी यूं भी हो कैसा हो 
तुम भी खामोश रहो 

और सिर्फ एहसास से राब्ता रहे ...
~ विन्नी 

१५/२/१४ 

ALFAAZ
Un alfazon ke bhi kya maine
jin se ehsason ka raabta na ho
Lafz sookh gayen ho zubaan par
Labon ke sakht surkh aagoash main qaid
Bikhar bhi jayen agar betarteeb to kya
Koi maiyne nahin ugte unpar
Agar tum kareene se piro na do
Kabhi yoon bhi ho to kaisa ho
Tum bhi khamosh raho
Aur sirf ehsas se raabta rahe…


~V
15/2/14

No comments:

Post a Comment