दिन ओ रात
रात न नींद आयी न ख्वाब आये
दिन यूं खाली खाली गुज़रा
जैसे वक़्त चुक गया हो तमाम
शाम ने देहलीज़ पर सहमे से क़दम रखे
जानती हो जैसे
रात की सियाही में खो कर
बुझना ही है उसे
खिड़की से फलक पर बिछी रोशनाई
देखती रही मैं
जलते बुझते सितारों सी ख्वाइशें
शब भर उस चाँद की बाँह थामे
टिमटिमाती हैं ज़हन में
सुबह की हकीकतों में गर्क होने को
दिन ओ रात यूं ही गुज़र रहे हैं फिलहाल
ठहरे ठहरे से
- विन्नी
१३/८/१४
Din o Raat
Raat na neend aayee na khwab aaye
Din yoon khali khali guzra
Jaise waqt chuk Gaya ho tamaam
Shaam ne dehleez par sehme se qadam rakhe
Jaanti ho jaise
Raat ki siyahi main kho kar bujhna hee hai use
Khidkee se phalak par bichee roshnai ,
dekhtee Rahee main
Jalte bujhte sitaron see khwaishen
Shab bhar us chand ki baa'h thaame
Timtimaati hain zehen main,
Subah ki haqueeqaton main gark hone ko ...
Din o raat yoon hee guzar rahe hain filhal ...
Thehere thehere se ...
Vinny
13/8/14
No comments:
Post a Comment