Friday 16 January 2015

Querencia




Querencia*

Is waqt yoon lagta hai ke ab toot gayen hain honsale,
Khatam ho gayi hain umeeden,mit gaya hai aitbaar
 Aankhon ko sirf andhere hee dikhte hain
Badan main se jaan ris gayee hai jaise…
koi tarqueeb sojhtee nahin
Ek shoar sa hai, gonjta hai kannon main,
Dil ki ley udaas hai, ruki, thami see,

Tum tak jo pahunchtee thee, woh raah, bhatak gayee hai kaheen…
Waqt khatam hua chahta hai,
Ab kuch bas main nahin…


Ruk gayeen hoon ab, raah chalte chalte,
mud aayee hoon main yahan,
khud se phir  mulaqat ki khatir,
bikhree huee main, khud ko samatne ki khatir,

saanson ki tarteeb par kabu pane ki khatir,

tum tak jo pahunchti ho, us raah ko dhoondhne ki khatir,
dil main ek lau phir phir roshan karne ki khatir…

hoga  phir vahi aakhir aakhir,
jeet jaoge tum, khaakh ho jaongee main..
~vinny
15/1/15


*Querencia – an area in the arena taken by the bull for a defensive stand in a bullfight. A place from where ones strength is drawn, where one feels at home.

No comments:

Post a Comment