Harf  bewafa hue chahte Hain 
Nazmem rooth gayeen Hain hamse 
Kab se baithee Hoon jaanam 
Siyahee sirf ungliyaan rangti jaati hai 
Lafz kareene se bandhte hee nahin ...
Barishen sab dho dalna chahtee Hain
Sookhe Patton ke manind zamidoz Hain ahsasaat
Umr poori ho chuki ho jaise 
Marmar ke pathar par bicha paani 
Ek Naya sa aqs dikhlaata hai 
Is mausam ek Naya darakht ropa hai 
Lekin Kon jaane kab gulzaar ho 
Nazmem Jo rooth gayeen Hain hamse ..
Baaz waqt dikhayee dete Hain kuch Gul 
Betarteeb bikhre hue, 
Yoon jaaise  khayal jab yaksan na hon
Apne apne hijjon mein takseem 
Lafz kareene se baithte hee nahin 
Harf bewafa hue chahte Hain ..
-Vinny
26/8/18

 
No comments:
Post a Comment