Thursday 9 July 2015

तुम और मैं Tum aur Main

तुम और मैं 


तुम कहते हो 
कुछ भी तो नहीं,
बस हाथ बढ़ाओ और हासिल कर लो,
जैसे अपने ही बाग़  में खिले गुलाब ,
कोई मुश्किल नहीं, कोई शिकवा शिकायत नहीं,
खार खार छोड़ दो, फूल फूल चुन लो,
मैं,
बार बार हाथ बढ़ा तुम्हें पाने की कोशिशों में,
ज़ख्म ज़ख्म हूँ,
खार को फूल से अलग करना, 
शायद मुमकिन ही नहीं। .
 ~ विन्नी 
९ /७/१५ 

Tum aur Main

Tum kehte ho
Kuch bhi to nahin
Bas haath badho aur hasil Kar lo 
Jaise apne hee bagh main khile gulab
Koi mushkil nahin koi shikwa shikayaat nahin
Khar khar chod do, phool phool chun lo ,
Main,
Bar bar  hath badha tumhen hasil karne ki koshishon main,
Zakhm zakhm hoon, 
Khar ko phool se alag karna
Shayad mumkin hee nahin 
Vinny
9/7/15


#Nazm, #Hindi-Poem

2 comments:

  1. Rafiqon se Raqeeb Achhe jo jal kar Naam lete hen,
    Gulon se khaar behtar hen jo barhkar daaman Thaam lete hen...

    ReplyDelete
    Replies
    1. waqai? main kabhi raqeebon se itefaaq nahin kar payee , padne ke liye bahut shukriya , meherbani...

      Delete