Tuesday 10 March 2015

आरज़ू aarzoo

आरज़ू बाँह थाम , ले चली है फिर उस ओर,
ख़ुदा जाने अब किस   लुत्फ़ की फ़िराक में है 
ये दिल, फिर किसी कशिश की तलाश में है,

एक खलिश है जो मिटाये नहीं मिटती 
एक बेनाम जुस्तजू अब हर सांस में है,

शोर करती हैं हसरतें धड़कनें बेकाबू हैं,
फिक्र सुस्त है, अरमान बेख़ौफ़,
आरज़ू बाहँ थाम, ले चली है फिर ,उस ओर 
~ विन्नी
२५/२/१५  



aarzoo
Aarzoo bahn thaam le chali hai phir us oar,
Khuda Jaane ab kis lutf ki firaaq main hai
Ye dil phir kisi kasish ki talaash main hai

Ek khalish hai ho mitaye nahin mitatti
Ek benaam justaju ab har saans main hai

Shor karti hain hasraten , dhadkane beqaboo hain
Fiqr sust hai , armaan bekhauf 
Aarzoo, bahn thaam , le chali hai phir us oar 
Vinny
25/2/15

2 comments:

  1. Dil ko choo leti hai aapki ye aarjoo..
    kai dafe padha,baar-baar padha--raj

    ReplyDelete
    Replies
    1. bahut shukriya Raj :) aap ne padha, yahee kafi hai, mere liye

      Delete