Sunday, 21 December 2014

ek gazal

gazal

waqt kaisa bhi guzare, guzar hee jata hai, kya kijeye,

jo guzari hum pe woh guzari, ab fariyaad kya kijeye.

Kagaz ki naav main samunder ki sair,
Wallah, ye mohabbat hai, Kya kijeye...

Hum ne chaha nahin yoon minaanton main  jeena,
Par ye dil hai ke mananta nahin, to Kya kijeye...

Kaanch ki kirchon par nange paanv raqs,
Us paar phir Bhi jaana hai, ab Kya kijeye...

Band mutthi se Bhi raet fisal hee jaati hai,
Sab apne kirdar se bandhe hain, Kya kijeye....

Hijr lazim hain, baharon ke guzarne ke baad,
Mausam yoon hee badalte hain , Kya kijeye...

Hum jalaye rakhte hain har haal, Teri yaad ka chiraag,
tanhayee ke Andheron se dostee ki hai, Kya kijeye...

Poolon ke shehar ka koi paasbaan nahin,
Khusbooyen bikhar hi jaati hain, kya kijeye…

Bekaar hai ishq ki qaid se nijaad ki arzoo,
Ab ye umr yoon hee guzregee, kya kijeye…



Hasil nahin hai kuch Bhi ab ashq bahane se,
Apne hi muqaadar main aib hai, Kya kijeye...

~Vinny


13/5/14

No comments:

Post a Comment