#Hindi poem, #Nazm
मैं
आईने में नज़र आते
अपने ही अक्स में
नयी तरतीब से नए रंग भरती हूँ
इस उम्मीद में के
नए रंग मोह लेंगे तुम्हारा मन
और वही पुरानी मैं
नयी , खुशरंग नज़र आऊँगी तुम्हें
लेकिन,
रंगों की हर नयी परत
उलझा देती है तसवीर
बदनुमा दिखता है चेहरा,
बेजान लगता है मेरा अक्स
रूह नज़र आती नहीं,
तुम,
भी तो मेरे ही मन के आईने के अक्स हो
अपनी पसंद के रंग भरे हैं
तुम्हारी तस्वीर में मैंने
शीशे की इस दीवार के परे
हकीकतों की रोशनी में
जब भी देखा है तुम्हे
अजनबी से नज़र आये हो मुझे
पहचाने जाते नहीं,
रूह दिखती नहीं....
~ विन्नी
१३/१०/१४.
Main
aaiyene main nazar aate
Apne hee
aqs main
Nayee tarteeb se naye rang
bhartee
hoon
Is umeed main ke
naye rang moh lenge tumhara man
Aur wahi puranee main
Nayee khushrang nazar aaongee tumhen
Lekin rangon ki har nayee parat
uljha deti
hai tasveer
Badnuma nazar aata hai chehra
bejaan' lagta hai mera aqs
Rooh, dikhtee nahin…
Tum,
Bhi to mere man ke aaiyene ke aqs ho
Apne pasand ke rang bhare hain
Tumharee tasveer main maine
Sheeshe ki is deewar ke pare
Haqueeqaton ki roshee main
Jab bhi dekha hai tumhe
Ajnabi se nazar aaye ho mujhe,
pehchane jaate nahin,
Rooh dikhtee nahin…
Vinny
13/10/14
Very Nice Ms.Vinny..
ReplyDeleteIt's first time I have read your creation..
Keep it up..
Thank you kind Sir :)
Delete