Friday 31 August 2018

nazm adhuri hai

Nazm adhuri hai

Harf bewafa hue chahte Hain
Nazmem rooth gayeen Hain hamse
Kab se baithee Hoon jaanam
Siyahee sirf ungliyaan rangti jaati hai
Lafz kareene se bandhte hee nahin ...

Barishen sab dho dalna chahtee Hain
Sookhe Patton ke manind zamidoz Hain ahsasaat
Umr poori ho chuki ho jaise
Marmar ke pathar par bicha paani
Ek Naya sa aqs dikhlaata hai
Is mausam ek Naya darakht ropa hai
Lekin Kon jaane kab gulzaar ho
Nazmem Jo rooth gayeen Hain hamse ..

Baaz waqt dikhayee dete Hain kuch Gul
Betarteeb bikhre hue,
Yoon jaaise khayal jab yaksan na hon
Apne apne hijjon mein takseem
Lafz kareene se baithte hee nahin
Harf bewafa hue chahte Hain ..
-Vinny
26/8/18