आइना आज अपना ही अक्स देख, सहम गयी मैं, अनजाना सा चेहरा झांकता था आइने से मुस्कुराते लब हंसती आँखें, सब लकीरें बेक़ायदगी से खुशहाल रुबाई कहती थीं, मुक़म्मल तौर पर रिवायती, याने नक़ाब दुरुस्त था, बस मैं कहीं न थी. सो अब यूं है के रिवायतें निभाते निभाते खुद के लिए भी अजनबी हुई जाती हूँ मैं. ~ विन्नी ९/९/१५ Aaiena Aaj apna hee aqs dekh Seham gayee main Ajnabi sa chehra jhakta tha aaene se Muskurate lab, hanstee ankhen Sab lakeeren baqaidagi se khushaal rubayee kehtee theen, mukammal taur par rewayati, Naqaab durust tha, Bas main kaheen na thee So ab yoon hai ki riwayaten nibhate nibhate, Khud ke liye bhi ajnabi huee jaati hoon main... -Vinny 9/9/15
Kya khoob us roshan nigah ki jaadugari, Ek nazar dekh le toh savera lage hai mujhe . Nadiya kashti baarish, main aur tum, ye manzar khwab sa lage hai mujhe. Kya janeye Kya nawaz de kismat meri, Waqt ki chal badli
badli se lage hai mujhe. Us ke dar se laute to kuch yoonHua mohsin, har rooh pareshan, har mauj payasi lage hai mujhe. -Vinny